Jab bhi mein koi kalam

 

Jab bhi mein koi kalam likhta hun

Sab sey pehlay ussay salam likhta hun

Uss k chehray ko Kali kahoun

Uss ki aankhoun ko jam likhta hun

Gulaboun ki malka ussay samajh ker

Mein khushboo ko uss ka ghulam likhta hun

Khud pey naa likhoun to bhi ussay dost likhoun

Uss per Ghazal her sham likhta hun

Uss ki banai hui Zindagi ko

Khud per thehra hua ek ilzam likhta hun…..

Leave a Reply